Dua To Mang, Asar Bhi HUSSAiN a.s Dey Dain Gay
Harees-e Zar, Tujhy Zar Bhi HUSSAiN a.s Dey Dain Gay
TaLab ki khushk Zamee'n Aansuo'n Sey Tar kar ke
Shajar Bhi Den Gay Samar Bhi HUSSAiN_a.s Dey Dain Gay
Too Apny Pao'n Pey ChaLny ki MashQ jari Rakh
Uraan Chahay To Parr Bhi HUSSAiN a.s Dey Dain Gay
Andhairi Raat Mein Roshan Charagh-e Ema'n Rakh
TajaLLiyat-e Sehar Bhi HUSAiN a.s Dey Dain Gay
Ziyarto'n ka Sharaf jis Mohib ko Daitay Hain
To Us ko Zaad-e Safar Bhi HUSSAiN a.s Dey Dain Gay
jo Apny Ghar Mein Sajatay Hain Bazm-e ishQ-e HUSSAiN a.s
Unhen Bahisht Mein Ghar Bhi HUSSAiN a.s Day Den Gay
0 comments:
Post a Comment